Majlis-e-Tarheem: Ayatullah Sayyid Ali Khamenei ki Shadat par Ek Shradhanjali
Sirsi Sadat ki sarzameen par hamesha se deeni aur mazhabi sargarmiyon ka markaz rahi hai. Isi silsile ko aage badhate hue, haal hi mein Idara-e-Imam Raza (a.s.), Sirsi Sadat ke zer-e-ihtemam ek azeem-ush-shaan Majlis-e-Tarheem ka inaqad kiya gaya. Ye Majlis-e-Aza shaheed-e-rah-e-Islam, Rehbar-e-Muazzam Ayatullah Sayyid Ali Khamenei ki bargah mein khiraj-e-aqidat pesh karne ke liye munaqad hui.
Ye roohani ijtema 16 March, Peer ke din, raat 8 baje Imam Bargah Imam Raza (a.s.) mein barpa hua, jahan momeeneen ki ek badi tadaad ne shirkat karke shaheed ki khidmaat ko yaad kiya. Majlis ka aghaz tilawat aur manqabat se hua, jiske baad mukhtalif shora aur khwanon ne apne makhsoos andaaz mein pursa pesh kiya:
Marsiya Khwani: Janab Ali Kabir Akmal Sahab (Sirsivi)
Pesh Khwani: Janab Shohrat Sahab (Sirsivi) aur Janab Hasnain Sahab (Nehravi)
Noha Khwani: Anjuman Ghuncha-e-Qasim, Sirsi Sadat
Majlis ki markazi khatabat Hujjat-ul-Islam Maulana Faizan Raza Naqvi Sahab ne farmai. Unhone Ayatullah Khamenei ki zindagi, unki koshishon aur Islam ke liye unki qurbaniyon par roshni daali. Unhone bataya ki kis tarah shaheed ne deen-e-haq ki hifazat ke liye apni zindagi waqf kar di thi. Majlis ke akheer mein seena-zani hui aur tamam hazreen ne milkar Imam-e-Zamana (a.t.f.s.) ki bargah mein taaziyat pesh ki. Ye Majlis na sirf gham ka izhaar thi, balki deen ke raaste par sabit qadmi ka ek naya jazba bhi de gayi.
टिप्पणियाँ